
Auron Ki Burai Ko Na Dekhun Wo Nazar De;
Haan Apni Burai Ko Parakhne Ka Hunar De!

Apne Apne Ghar Ja Kar Sukh Ki Neend So Jayen;
Tu Nahi Khasare Mein Main Nahin Khasare Mein!

Bahut Dinon Mein Mohabbat Ko Ye Hua Malum;
Jo Tere Hijr Mein Guzri Wo Raat Raat Hun!

Mujhe Yaad Karne Se Ye Mudda Tha;
Nikal Jaaye Dam Hichkiyan Aate Aate!

Apne Chehre Se Jo Zahir Hai Chhupayen Kaise;
Teri Marzi Ke Mutabiq Nazar Aayen Kaise!

Kya Zameen Kya Aasman Kuch Bhi Nahi;
Hum Na Hon To Ye Jahan Kuch Bhi Nahi!

Mushkil Bahut Padegi Barabar Ki Chot Hai;
Aaina Dekhiyega Zara Dekh-Bhal Ke!

Aankhon Ko Ek Khwab Dikhaya Ja Sakta Hai;
Qissa Yusuf Ka Dohraya Ja Sakta Hai!

Tum Phir Usi Ada Se Angdayi Le Ke Hans Do;
Aa Jayega Palat Kar Guzra Hua Zamana!

Chanda Bhi Bas Raat Mein Achha Lagta Hai;
Har Banda Auqat Mein Achha Lagta Hai!