
Mohabbat Karne Wale Kam Na Honge;
Teri Mehfil Mein Lekin Hum Na Honge!

Dagh-e-Dil Shab Ko Jo Banta Hai Charagh-e-Dahleez;
Roshni Ghar Mein Mere Rehti Hai Andar Bahar!

Kya Sitam Hai Ki Ab Teri Surat;
Ghaur Karne Pe Yaad Aati Hai!

Wafa Karenge Nibhayenge Baat Manenge;
Tumhein Bhi Yaad Hai Kuch Ye Kalaam Kis Ka Tha!

Jis Ko Aankhon Se Door Rakhna Tha;
Aaj Qurbat Mein Phir Wahi Kyon Hai!
*Qurbat: Nearness, Vicinity

Dil Nadaan Hai Roz Koi Nadaani Karta Hai;
Aag Mein Aag Milata Hai Phir Paani Karta Hai!

Yaar Sab Jama Hue Raat Ki Khamoshi Mein;
Koi Ro Kar To Koi Baal Bana Kar Aaya!

Jo Rehne Wale Hain Log Un Ko Ghar Nahi Dete;
Jo Rehne Wala Nahi Us Ke Ghar Banate Hain!

Barfeeli Chattan Par Ped Khada Muskaye;
Sara Mausam Sard Hai Jism Aag Barsaye!

Guzre Jo Apne Yaaron Ki Sohbat Mein Chaar Din;
Aisa Laga Basar Hue Jannat Mein Chaar Din!
*Sohbat: Association, Company