Tu Ja Raha Tha Bichhad Ke To Har Kadam Pe Tere;
Phisal Rahi Thi Mere Paanv Se Zameen Bahut!
Aankhon Mein Khwab Paaon Mein Chhalon Ko Paal Kar;
Layi Hun Main Andhere Se Suraj Nikal Kar!
Neend Kya Hai Zara Si Der Ki Maut;
Maut Kya Kya Hai Tamam Umar Ki Neend!
Hansi Un Ke Labon Tak Aa Gayi Hai;
Muqammal Ho Gaya Rona Hamara!
Shaam Pade So Jane Wala Deep Bujha Kar Yaadon Ke;
Raat Gaye Tak Jaag Raha Tha Pehli Pehli Baarish Mein!
Dil Ko Sambhale Hansta Bolta Rehta Hun Lekin;
Sach Pucho To ‘Zeb’ Tabiyat Theek Nahi Hoti!
Behtar Dinon Ki Aas Lagaate Hue Habib;
Hum Behtareen Din Bhi Ganwaate Chale Gaye!
Main To Is Vaaste Chup Hoon Ki Tamasha Na Bane;
Tu Samajhta Hai Mujhe Tujh Se Gila Kuch Bhi Nahi!
Aablo Ka Shikwa Kya Thokaron Ka Gham Kaisa;
Aadmi Mohabbat Mein Sab Ko Bhool Jaata Hai!
Tere Vaadon Pe Kahan Tak Mera Dil Fareb Khaaye;
Koi Aisa Kar Bahaana Meri Aas Toot Jaaye!



