Ilahi Kya Ilaqa Hai Woh Jab Leta Hai Angdayi;
Mere Seene Mein Sab Zakhmon Ke Tanke Toot Jaate Hain!
Yahan Koi Na Jee Saka Na Jee Sakega Hosh Mein;
Mita De Naam Hosh Ka Sharab La Sharab La!
Dil Abhi Poori Tarah Toota Nahi;
Doston Ki Mehrbani Chahiye!
Tumhara Naam Likhne Ki Izazat Chhin Gayi Jab Se;
Koi Bhi Lafz Likhta Hun To Aankhein Bheeg Jaati Hain!
Ghuroor Ishq Ke Adab Seeikh Jayega;
Kabhi Wo Rooth Ke Dekhe Kabhi Manaye To!
Tadap Jaata Hun Jab Bijli Chamakti Dekh Leta Hun;
Ki Is Se Milta-Julta Sa Kisi Ka Muskurana Hai!
Yun Dekhte Rehna Use Achha Nahi 'Mohsin';
Wo Kaanch Ka Paikar Hai Toh Patthar Teri Aankhen!
Use Bechain Kar Jaunga Main Bhi;
Khamoshi Se Guzar Jaunga Main Bhi!
Achha Hai Ki Laga Nahi Unhen Pyaar Ka Rog;
Aate Aate Ayenge Raah Pe Agle Log!
Dil Dhadakne Ka Sabab Yaad Aaya;
Wo Teri Yaad Thi Ab Yaad Aaya!



