Main To Itna Bhi Samajhne Se Raha Hun Qasir;
Raah Takne Ke Siva Aankh Ka Maqsad Kya Hai!
*Qasir: Unable, Failing
Dil Abad Kahan Rah Paye Us Ki Yaad Bhula Dene Se;
Kamra Viran Ho Jaata Hai Ik Tasvir Hata Dene Se!
Kahte Hain Aankh Aankh Se Milnaa Hai Bandagi;
Duniya Ke Chhod Kaam Zara Aankh To Mila!
Ek Woh Hain Ki Jinhen Apni Khushi Le Doobi;
Ek Hum Hain Ki Jinhen Gham Ne Ubharne Na Diya!
Jab Tujhe Yaad Kar Liya Subah Mahak Mahak Uthi;
Jab Tera Gham Jaga Liya Raat Machal Machal Gayi!
Rahon Pe Nazar Rakhna Honthon Pe Dua Rakhna;
Aa Jaye Koi Shayad Darwaza Khula Rakhna!
Ab Udaas Phirte Ho Sardiyon Ki Shamon Mein;
Is Tarah To Hota Hai Is Tarah Ke Kaamon Mein!
Kal Raat Pi-Pila Ke Badi Mastiyan Hui;
Aakhir Ko Thak-Thaka Ke Phir Apne Hi Ghar Gaye!
Saja Rahega Andheron Se Hi Khandar Mera;
Ek Ek Kar Ke Hua Khatam Ab Safar Mera!
Humein Bhi Neend Aa Jayegi Hum Bhi So Hi Jayenge;
Abhi Kuch Be-Qarari Hai Sitaro Tum To So Jaao!



