Haath Rakh Kar Jo Wo Puchhe Dil-e-Betab Ka Haal;
Ho Bhi Aaram To Keh Dun Mujhe Aaram Nahi!
Rafta Rafta Sab Tasveeren Dhundli Hone Lagti Hain;
Kitne Chehre Ek Purane Album Mein Mar Jaate Hain!
Ab Is Ghar Ki Abadi Mehmanon Par Hai;
Koi Aa Jaaye To Waqt Guzar Jata Hai!
Aaj Us Ne Hans Ke Yun Puchha Mizaz;
Umar Bhar Ke Ranj-o-Gham Yaad Aa Gaye!
Ab Hawayein Hi Karengi Roshni Ka Faisla;
Jis Diye Mein Jaan Hogi Wo Diya Rah Jayega!
Juda Kisi Se Kisi Ka Gharaz Habib Na Ho;
Ye Daagh Wo Hai Ki Dushman Ko Bhi Naseeb Na Ho!
Bazaaron Mein Ab Woh Pehle Si Raunak Kahan,
Tyoharon Mein Woh Pehle Si Baat Kahan;
Hawaon Mein Sardiyon Ki Kashish Kahan,
Aur Tumhare Bin Main Kahan!
Main Kinare Pe Khada Hun Toh Koi Baat Nahi;
Behta Rehta Hai Teri Yaad Ka Dariya Mujh Mein!
Charagh-e-Husn-e-Yusuf Jab Ho Roshan;
Rahe Phir Kis Tarah Zinda Andhera!
Din To Shikam Ki Aag Bujhane Mein Jaaye Hai;
Shukr-e-Khuda Ki Katti Hai Danishvaron Mein Raat!



