Roz Dhalti Hui Shaam Se Dar Lagta Hai;
Ab Mujhe Ishq Ke Anjaam Se Dar Lagta Hai;
Jab Se Mili Hai Bewafai Mujhe Ishq Mein;
Tab Se Ishq Ke Naam Se Bhi Dar Lagta Hai!
Jaan Kar Bhi Woh Humein Jaan Na Paye;
Aaj Tak Woh Humein Pehchan Na Paye;
Khud Hi Kar Li Bewafai Hum Ne Unse;
Taki Un Par Bewafai Ka Koi Ilzam Na Aaye!
Dilon Se Khelne Ka Hunar Humein Nahi Aata;
Isi Liye Ishq Kee Baazi Hum Haar Gaye;
Meri Zindagi Se Shayad Unhein Bahut Pyaar Tha;
Isi Liye Mujhe Zinda Hi Wo Maar Gaye!
Nahi Tha Yakeen Kabhi Milna Padega Judai Ke Baad;
Phir Bhadak Uthenge Jazbat Tumhari Bewafai Ke Baad!
Kuchh Iss Tarah Se Meri Zindagi Ko Maine Aasan Kar Liya;
Bhool Kar Teri Bewafai, Maine Apni Tanhai Se Pyaar Kar Liya!
Ek Bewafa Ko Apna Hamraaj Banakar;
Ab Pachhta Raha Hun Apna Dil Ganwakar;
Us Bewafa Ne Zindagi Mein Aag Laga Di;
Jise Dil Mein Basaya Tha Dhadkan Banakar!
Ek Hasrat Thi Ki Unke Dil Mein Panah Milegi;
Kya Pata Tha Unki Mohabbat Mein Yeh Saza Milegi;
Na Apno Ne Samjha Na Gairon Ne Jaana;
Kya Khabar Thi Mujhe Meri Taqdeer Mein Bewafa Milegi!
Duniya Ne Kis Ka Rah-e-Wafa Mein Diya Hai Sath;
Tum Bhi Chale Chalo Yun Hi Jab Tak Chali Chale!
Kisko Farebi Hum Kahein Kisko Kahein Hum Bewafa;
Kismat Hi Shayad Aisi Likha Kar Laaye Hain Hum;
Aaj Wakif Hai Yaaro Humse Shehar Ka Har Ek Aadmi;
Magar Apno Ke Liye Hi Dekhiye Paraye Hain Hum!
Hai Agar Hamari Koi Khata Tu Sabit To Kar;
Agar Bure Hain Hum To Bura Saabit To Kar;
Tujhe Chaha Hai Humne Kitna, Tu Kya Jane;
Chal Hum Bewafa Hi Sahi, Tu Apni Wafa Sabit To Kar!