Koi Titli Nishane Par Nahi Hai;
Main Bas Rangon Ka Peechha Kar Raha Hun!
Badan To Tha Hi Nahi Aag Thi Mujassam Aag;
Hum Us Se Milte Nahi To Jale Nahi Hote!
Aaine Mein Woh Dekh Rahe The Bahar-e-Husn;
Aaya Mera Khayal To Sharma Ke Rah Gaye!
Hasrat Mohani
Meri Aankhen Aur Deedar Aap Ka;
Ya Qayamat Aa Gayi Ya Khwab Hai!
Ab Aur Der Na Kar Hashr Barpa Karne Mein;
Meri Nazar Tere Deedar Ko Tarasti Hai!
Jab Tere Nain Muskurate Hain;
Zeest Ke Ranj Bhool Jate Hain!
Kaun Sa Zakhm Tha Jo Taaza Na Tha,
Itna Gham Milega Andaza Na Tha;
Aap Ki Jheel Si Aankhon Ka Kya Kasoor,
Doobne Wale Ko Hi Gehrai Ka Andaza Na Tha!
Har Ek Aankh Mein Hoti Hai Muntazir Koi Aankh;
Har Ek Dil Mein Kahin Kuch Jagah Nikalti Hai!
Bahut Mushkil Hai Duniya Ka Sanwarna;
Teri Zulfon Ka Pech-o-Kham Nahi Hai!
*Pech-o-Kham:Curves
Nazuki Us Ke Lab Ki Kya Kahiye;
Pankhudi Ik Gulab Ki Si Hai!