Khamosh Chehron Par Hazaron Pehre Hote Hain,
Hansti Aankhon Mein Bhi Zakham Gehre Hote Hain;
Jinse Aksar Rooth Jate Hain Hum,
Unse Hi Rishte Zyada Gehre Hote Hain!
Saari Duniya Se Be-Niyazi Hai;
Wah Ai Mast-e-Naaz Kya Kehna!
Us Ki Aankhon Ko Ghaur Se Dekho;
Mandiron Mein Charagh Jalte Hain!
Un Ras Bhari Aankhon Mein Haya Khel Rahi Hai;
Do Zehar Ke Pyalon Mein Qaza Khel Rahi Hai!
Jis Ne Jala Ke Dil Mera Hijr Ki Shab Mita Diya,
Shamen Jalane Aaya Hai Ab Woh Sar-e-Mazar Kya;
Uth Gayi Jis Taraf Nazar Hashr Sa Ik Bapa Hua,
Un Ki Nigah-e-Naaz Hai Fitna-e-Rozgar Kya!
* Fitna-e-Rozgar: Mischievousness
Harf Tum Apni Nazakat Pe Na Laana Harghiz,
Haath Bedad-o-Sitam Se Na Uthana Harghiz;
Tum Bhi Chori Ko Yaqeen Hai Na Kahoge Achchha,
Ab Humein Dekh Ke Aankhein Na Churana Harghiz!
* Bedad-o-Sitam: Oppression
Tujhi Ko Jo Yaan Jalwa-Farma Na Dekha,
Barabar Hai Duniya Ko Dekha Na Dekha;
Mera Ghuncha-e-Dil Hai Wo Dil Girafta,
Ki Jis Ko Kisu Ne Kabhu Va Na Dekha!
* Ghuncha-e-Dil: Bud Of Heart
* Girafta: Sad
Jag Mein Aa Kar Idhar Udhar Dekha,
Tu Hi Aaya Nazar Jidhar Dekha;
Jaan Se Ho Gaye Badan Khali,
Jis Taraf Tu Ne Aankh Bhar Dekha!
Ek Nazar Kya Mila Gaya Koi;
Ek Qayamat Utha Gaya Koi!
Main Darr Raha Hun Tumhari Nasheeli Aankhon Se;
Ki Loot Len Na Kisi Roz Kuch Pila Ke Mujhe!