Jaane Meri Aankhon Se Kitne Aansu Beh Gaye;
Insano Ki Iss Bheed Mein Dekho Hum Tanha Reh Gaye;
Karte The Jo Kabhi Apni Wafa Ki Baatein;
Aaj Wahi Sanam Humein Bewafa Keh Gaye!
Main Apne Ghar Geya Tha Woh Jab Apne Ghar Gayi;
Phir Mujh Ko Kya Khabar Ki Wahan Se Kidhar Gayi!
Sameit Kar Le Ja Apni Yaadon Ke Adhooray Qissay;
Teri Agli Chahat Mein Tujhe In Kee Bhi Zaroorat Hogi!
Mohabbat Mein Suno Tum Khud To Bewafa Ho;
Woh Jo Bichrra To Tum Marr Kyun Na Gaye!
Kaun Chahega Tumhe Meri Tarah;
Ab Kisi Se Na Mohabbat Karna!
Badla Waafa Ka Denge Badi Saadgi Se Hum;
Tum Hum Se Rooth Jao Ge Aur Zindagi Se Hum!
Har Shakhs Nahin Hota Har Shakhs Ke Kabil;
Har Shakhs Ko Apne Liye Socha Nahin Kartey!
Umar Kitni Manzilein Teh Kar Chuki;
Dil Jahaan Thehra, Thehra Hi Reh Geya!
Roz Kehta Hu Ki Bhul Jaunga Usse;
Magar Na Jane Kyun Roz Ye Baat Bhul Jata Hu!
Hum Zamane Mein Yun Hi Bewafa Mashhoor Ho Gaye Faraz;
Hazaron Chahne Wale The Kis-Kis Se Wafa Karte!



