Dil Ne Ek Cheez Barri Beshumar Mangi Hai;
Husn-e-Magroor Ki Fitrat Se Waffa Mangi Hai!
Teri Dosti Ne Diya Sakun Itna;
Ki Tere Baad Koi Bhi Accha Na Lage;
Tujhe Karni Ho Bewafai To Iss Ada Se Karna;
Ki Tere Baad Koi Bhi Bewafa Na Lage!
Usney Mujhe Apna Kaha Tu Kya Huwa;
Log Jhooth Bhi To Bolte Hain!
Pyaar Karne Ka Hunnar Hame Nahi Aata;
Isliye Pyar Ki Baazi Ham Haar Gaye;
Hamari Zindagi Se Unhe Buhut Pyaar Tha;
Shayad Isiliye Woh Hame Zinda Hi Maar Gaye!
Itni Qasmein Na Uthao Ghabraa Ke;
Jao, Hum AitBaar Karte Hein!
Saray Raah Jo Unsay Nazar Mili;
To Naksh Dil Kay Ubhar Gaye;
Hum Nazar Mila Kar Jhijak Gaye;
Woh Nazar Jhuka Kar Chale Gaye!
Apni Taqdeer Mein To Kuchh Aise Hi Silsile Likhe The, Ae Dosto;
Kisi Ne Waqt Guzarne Ke Liye Pyaar Kar Liya;
To Kisi Ne Pyaar Kar Ke Waqt Guzaar Liya!
Sochte Hein Seekh Lein Hum Bhi Berukhi Karna;
Mohobatt Nibhate Nibhate Aaj Humne Apni Hi Kadar Kho Di!
Tu Wo Zaalim Hai Jo Dil Mein Reh Kar Bhi Mera Na Ban Saka, Ghalib;
Aur Dil Wo Kafir Jo Mujh Mein Reh Kar Bhi Tera Hogaya!
Us Ke Chehre Ne Humain Tanha Kardiya;
Warna Hum To Apne Aap Main Hi Ek Mehfil Hua Karte Thay!



