Shayari



sms

Aaj Bhi Us Ki Aankhon Mein Raaz Wohi Tha,
Chehra Wohi Tha Chehre Ka Libas Wohi Tha;
Kaise Us Ko Bewafa Keh Dun Yaaro,
Aaj Bhi Us Ke Dekhne Ka Andaaz Wohi Tha!

sms

Dost Ban Kar Bhi Nahi Saath Nibahne Wala;
Wo Hi Andaaz Hai Zalam Ka Zamane Wala!

sms

Woh To Apne Dard Ro-Ro Ke Sunate Rahe,
Hamari Tanhayion Se Aankh Churate Rahe,
Aur Humein Bewafa Ka Naam Mila, Kyunki,
Hum Har Dard Muskura Kar Chhipate Rahe!

sms

Bahut Roya Hai Dil Unhein Yaad Karke,
Kuch Na Mila Rabb Se Bhi Fariyad Karke;
Woh Keh Gayi Main Na Dungi Saath Aapka,
Koi Puche Unhein Kya Mila Hume Barbaad Karke!

sms

Log Yun Dekh Ke Hans Dete Hain,
Tu Mujhe Bhool Gaya Ho Jaise!

sms

Aadmi Jaan Ke Khata Hai Mohabbat Mein Fareb;
Khud-Farebi Hi Mohabbat Ka Sila Ho Jaise!

sms

Ilaahi Kyon Nahi Uthhti Qayamat Majra Kya Hai,
Humare Samne Pehlu Mein Woh Dushman Ke Baithe Hain!

sms

Inhi Mein Kheechkar Roohe-Mohabbat Maine Bhare Hain;
Mera Ashyaar Dekhenge Mera Dil Dekhne Waale!

sms

Teri Talab Mein Jala Daale Aashiyaane Tak;
Kahan Rahoon Main Tere Dil Mein Ghar Banaane Tak!

sms

Woh Chaat Leta Hai Deemak Ki Tarah Mustaqbil;
Tumhein Pata Nahi Maazi Jo Haal Kata Hai!

Mustaqbil: Future
Maazi: Past

End of content

No more pages to load

Next page