
Rang Khushbu Aur Mausam Ka Bahana Ho Gaya;
Apni Hi Tasveer Mein Chehra Purana Ho Gaya!

Kabhi Udaas Ho Jao To Batana Mujhe;
Phir Se Apna Dil Denge Tumhein Khelne Ke Liye!

Kitna Aur Dard Dega Bas Itna Bata De;
Aisa Kar Aye Khuda Meri Hasti Mita De;
Yun Ghut-Ghut Ke Jeene Se Maut Behtar Hai;
Main Kabhi Na Jagun Mujhe Aisi Neend Sula De!

Muddat Se Koi Aaya Na Gaya Sunsaan Padi Hai Ghar Ki Faza;
In Khali Kamron Mein 'Nasir' Ab Shama Jalaun Kis Ke Liye!

Daagh Duniya Ne Diye Zakham Zamane Se Mile;
Hum Ko Tohfe Ye Tumhein Dost Banane Se Mile!

Wo Baat Soch Ke Main Jis Ko Muddaton Jeeta;
Bichaddte Waqt Batane Ki Kya Zaroorat Thi!

Har Dhadakte Patthar Ko Log Dil Samjhte Hain;
Umerin Beet Jaati Hain Dil Ko Dil Banane Mein!

Kis Tarah Bhulayein Hum Is Shehar Ke Hungame;
Har Dard Abhi Baaki Hai Har Zakhm Abhi Taaza Hai!

Na Humsafar Na Kisi Hum-Nasheen Se Niklega;
Hamare Paanv Ka Kaanta Humin Se Niklega!

Diya Khamosh Hai Lekin Kisi Ka Dil To Jalta Hai;
Chale Aao Jahan Tak Roshni Maloom Hoti Hai!