Us Ko Rukhsat To Kiya Tha Mujhe Maloom Na Tha; Sara Ghar Le Gaya Ghar Chhod Ke Jaane Wala!
Ibtida Wo Thi Ki Jeena Tha Mohabbat Mein Muhal; Inteha Ye Hai Ki Ab Marna Bhi Mushkil Ho Gaya! *Ibtidaa: Beginning/Starting/Origin
Jaanta Hun Ek Aise Shakhs Ko Main Bhi 'Muneer';
Gham Se Patthar Ho Gaya Lekin Kabhi Roya Nahi!
Dar-ba-Dar Thokarein Khain To Ye Malum Hua; Ghar Kise Kehte Hain Kya Cheez Hai Be-Ghar Hona!
Kalam Karte Hain Log Khud Se;
Bhadas Dil Ki Nikal Rahi Hai!
Abla-Pa Koi Is Dasht Mein Aaya Hoga;
Varna Aandhi Mein Diya Kis Ne Jalaya Hoga!
Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai; Ranj Kam Sehta Hai Elaan Bahut Karta Hai!
Ye Qarz To Mera Hai Chukayega Koi Aur; Dukh Mujh Ko Hai Aur Neer Bahayega Koi Aur!
Patthar Paani Ho Jaate Hain, Log Kahani Ho Jaate Hain; Naye Naye Chehre Wale Bhi, Baat Purani Ho Jaate Hain!
Mujh Ko Ek Pagal Ke Hawale Kar Jao; Khul Kar Hansne Rone Ka Dil Hota Hai!



