
Rote Jo Aaye The Rula Ke Gaye; Ibtida Inteha Ko Rote Hain!

Bheegi Mitti Ki Mehak Pyaas Badha Deti Hai; Dard Barsat Ki Bundon Mein Basa Karta Hai!

Dil Par Chot Padi Hai Tab To Aah Labon Tak Aayi Hai; Yun Hi Chhan Se Bol Uthna To Sheeshe Ka Dastur Nahi!

Sun Chuke Jab Haal Mera Le Ke Angdayi Kaha; Kis Ghazab Ka Dard Zaalim Tere Afsane Mein Tha!

Us Ne Barish Men Bhi Khidki Khol Ke Dekha Nahin; Bhigne Valon Ko Kal Kya Kya Pareshani Hui!

Judaiyon Ke Zakhm Dard-e-Zindagi Ne Bhar Diye; Tujhe Bhi Nind Aa Gayi Mujhe Bhi Sabr Aa Gaya!

Meri Tabahi Dil Par To Reham Kha Na Saki; Jo Roshni Mein Rahe Roshni Ko Pa Na Sake!

Paani Se Bhari Aankhen Lekar Mujhe Ghoorta Hi Raha; Wo Aaine Mein Khada Shakhs Pareshan Bahut Tha!

Sikha Deti Hain Chalna Thokarein Bhi Raahgiron Ko; Koi Raasta Sada Dushwaar Ho Aisa Nahi Hota!

Koi Atka Hua Hai Pal Shayad, Waqt Mein Pad Gaya Hai Bal Shayad; Dil Agar Hai To Dard Bhi Hoga, Is Ka Koi Nahi Hai Hal Shayad!