Waqt Ki Yaari To Har Koi Karta Hai Mere Dost;
Maza To Tab Hai Jab Waqt Badal Jaye Par Yaar Na Badle!
Aadatein Alag Hain Meri Duniya Walon Se;
Dost Kam Rakhta Hun Par La-Jawaab Rakhta Hun!
Ae Dost Main Teri Khushiyan Baantne Shayad Na Aa Saku,
Haan Yeh Vaada Raha Jab Gham Aaye To Khabar Kar Dena Sare Ke Sare Le Jaunga!
Main Hairan Hun Ki Kyon Us Se Hui Thi Dosti Apni;
Mujhe Kaise Gawara Ho Gayi Thi Dushmani Apni!
Kab Bhulaye Jaate Hain Dost Judaa Ho Kar Bhi Wasi;
Dil Toot Toh Jaata Hai Rehta Phir Bhi Seene Mein Hai!
Aapki Dosti Ki Ek Nazar Chahiye,
Dil Hai Beghar Use Ek Ghar Chahiye;
Bas Yun Hi Saath Chalte Raho Ae Dost,
Yeh Dosti Humein Umar Bhar Chahiye!
Rishton Se Badi Chahat Kya Hogi, Dosti Se Badi Ibadat Kya Hogi;
Jise Dost Mil Jaye Aap Jaisa, Use Zindagi Se Shikayat Kya Hogi!
Dushmano Ne Jo Dushmani Ki Hai;
Doston Ne Bhi Kya Kami Ki Hai!
Dushmano Ke Sath Mere Dost Bhi Azaad Hain;
Dekhna Hai Khenchta Hai Mujh Pe Pehla Teer Kaun!
Maza Aata Hai Kisi Ko Stanne Mein;
Roothe Na Koi Toh, Maza Kya Manane Mein;
Ek Doston Se Hi To Khushi Hai;
Varna Rakha Kya Hai Iss Zindagi Aur Zamane Mein!