Aye Yaar Sun Yaari Teri Mujhe Zindagi Se Bhi Pyaari Hai;
Jawab Hi Nahi Hamara Kahin Badi Khoob Jodi Hamari Hai!
Waqt Ki Yaari Toh Har Koi Karta Hai Mere Dost;
Maja Toh Tab Hai Jab Waqt Badal Jaye Par Yaar Na Badle!

Suna Hai Khuda Ke Darbar Se, Kuch Farishtey Faraar Ho Gaye;
Kuch to Vaapas Chale Gaye, Aur Kuch Humare Yaar Ho Gaye!

Pyaar Aur Dosti Mein Itna Fark Paya Hai;
Pyaar Ne Sahaara Diya Aur Dost Ne Nibhaaya Hai;
Kis Rishte Ko Gehara Kahu;
Ek Ne Zindagi Di Aur Dusre Ne Jeena Sikhaaya Hai!

Ai Dost Humne Tark-E-Mohabbat Ke Bawajud,
Mehsoos Ki Hai Teri Zarurat Kabhi Kabhi!

Duriya Hote Hue Bhi Safar Vahi Rahega;
Door Hote Hue Bhi Dostana Vahi Rahega;
Bahot Mushkil Hai Yeh Safar Zindgi Ka;
Agar Aapka Sath Hoga To Ehsaas Vahi Rahega!

Zikar Hua Jab Khuda Ki Rehmaton Ka;
Humne Khud Ko Khushnaseeb Paya;
Tamanna Thi Ek Pyaare Se Dost Ki;
Khuda Khud Dost Bankar Chala Aaya!
Ishq Aur Dosti Mere Do Jahaan Hain;
Ishq Meri Rooh To Dosti Mera Iman Hai;
Ishq Par To Fida Kar Dun Apni Sari Zindagi;
Magar Dosti Par To Mera Ishq Bhi Kurbaan Hai!

Jaam Pe Jaam Peene Ka Kya Fayda;
Sham Ko Pee, Subah Utar Jayegi;
Are Peeni Hai To Do Boond Dosti Ke Pee;
Sari Zindagi Fir Bas Nashe Mein Guzar Jayegi!

Bahut Kuch Khoya, Bahut Kuch Paya;
Kasam Se Zindagi Ne Bahut Hasaya, Bahut Hi Rulaya;
Par Shikwa Nahi Zindagi Se Humein Koi;
Kyonki Issi Ne Kuch Haseen Dosto Se Bii Milaya!