
Maza Aata Hai Kisi Ko Stanne Mein;
Roothe Na Koi Toh, Maza Kya Manane Mein;
Ek Doston Se Hi To Khushi Hai;
Varna Rakha Kya Hai Iss Zindagi Aur Zamane Mein!

Jo Dil Ke Ho Kareeb Use Ruswa Nahi Karte,
Yun Apni Dosti Ka Tamasha Nahi Karte;
Khamosh Rahoge Toh Ghutan Aur Badegi,
Apno Se Koi Baat Chhupaya Nahi Karte!

Mere Dost Ki Pehchan Yahi Kaafi Hai;
Wo Har Shakhs Ko Danista Khafa Karta Hai!

Ye Fitna Aadami Ki Khaana-Veerani Ko Kya Kam Hai;
Hue Tum Dost Jis Ke Dushman Us Ka Aasman Kyon Ho!

Dosti Apni Bhi Asar Rakhti Hai Faraz;
Bahut Yaad Aayenge Zara Bhool Ke Dekho!

Vaada Na Karo Agar Tum Nibha Na Sako;
Chaho Na Usko Jise Tum Pa Na Sako;
Dost To Duniya Mein Bahut Hote Hain,
Par Ek Khaas Rakho Jiske Bina Tum Muskura Na Sako!

Saanson Se Pyaari, Yaadein Hain Aapki;
Dhadkan Se Pyaari, Baatein Hain Aapki;
Tumhein Yakeen Ho Ya Na Ho;
Lekin Is Zindagi Se Pyaari, Dosti Hai Aapki!

Maangi Thi Dua Hum Ne Rab Se;
Dena Mujhe Dost Jo Alag Ho Sabse;
Usne Mila Diya Humein Aapse Aur Kaha;
Sambhalo Inhe Ye Anmol Hai Sab Se!

Maangi Thi Dua Humne Rab Se;
Dena Mujhe Dost Jo Alag Ho Sabse;
Usne Mila Diya Humein Aapse Aur Kaha;
Sambhalo Inhe Yeh Anmol Hain Sab Se!

Waqt Mile To Humein Yaad Kar Lena;
Pal Pal Na Sahi Par Din Mein Ek Baar Kar Lena;
Dost Honge Aapke Hazaaron Par;
Hamara Sirf Ek Hai Bas Itna Khayal Kar Lena!