Karim-o-Saeban Hai Wo Mujhe Mehfuz Rakhta Hai,
Mujhe Mehfuz Rakhta Hai Karim-o-Saeban Hai Wo;
Agarche Be-Makan Hai Wo Panahen Mujh Ko Deta Hai,
Panahen Mujh Ko Deta Hai Agarche Be-Makan Hai Wo!
* Karim-o-Saeban: Merciful
* Agarche: Although
Bada Azar-e-Jan Hai Wo Agarche Mehrban Hai Wo,
Agarche Mehrban Hai Wo Bada Azar-e-Jaan Hai Wo;
Misal-e-Aasman Hai Wo Mujhe Zarkhez Karta Hai,
Mujhe Zarkhez Karta Hai Misal-e-Aasman Hai Wo!
*Azar-e-jan: Torment of life, *Agarche: Granted that
Kahan Ke Mahir-o-Kamil Ho Tum Hunar Mein 'Adil'
Tumhare Kaam To Parvar Deegar Karta Hai!
Ai Sab Se Awwal Aur Akhir,
Jahan-Tahan, Hazir Aur Nazir;
Ai Sab Danaon Se Daana,
Saare Tavanaon Se Tavana!
Shikwa-e-Iztirab Kaun Kare,
Apni Duniya Kharab Kaun Kare;
Gin To Lete Hain Ungliyon Pe Gunah,
Rahmaton Ka Hisab Kaun Kare!
Koi Chara Nahi Dua Ke Siwa;
Koi Sunta Nahi Khuda Ke Siwa!
Jaan Ise Chalane Mein Ahrman Ki Khapti Hai; Raat-Din Magar Duniya Naam Tera Japti Hai, Roshni Ke Jalwe Hain Phalte Phulte Jangal; Jin Ki Chhattr-Chhaya Mein Tirgi Panapti Hai! *Tirgi: Darkness, Gloom
Sar Pe Dast-e-Hawa Hai Sadiyon Se;
Ghaib Ka Aasra Hai Sadiyon Se!
* Ghaib: Mysterious, Unseen
Samne Hain Jo Use Log Bura Kehte Hain;
Jis Ko Dekha Hi Nahi Us Ko Khudaa Kehte Hain!
Mujhse Mere Gunahon Ka Hisab Na Maang Ai Khuda;
Meri Taqdeer Likhne Mein Kalam Teri Hi Chali Hai!