Din To Shikam Ki Aag Bujhane Mein Jaaye Hai;
Shukr-e-Khuda Ki Katti Hai Danishvaron Mein Raat!
Na Jaane Rooth Ke Baitha Hai Dil Ka Chain Kahan;
Mile To Us Ko Hamara Koi Salaam Kahe!
Ashar Mere Yun To Zamane Ke Liye Hain;
Kuch Sher Faqat Un Ko Sunane Ke Liye Hain!
Apne Chehre Se Jo Zaahir Hai Chhupayen Kaise;
Teri Marzi Ke Mutabiq Nazar Aayen Kaise!
Is Andhere Mein Jab Koi Bhi Na Tha;
Mujh Se Ghum Ho Gaya Khuda Mujh Mein!
Umar Bhar Chal Ke Bhi Paayi Nahi Manzil Hum Ne;
Kuch Samajh Mein Nahi Aata Ye Safar Kaisa Hai!
Nagri Nagri Phira Musafir Ghar Ka Rasta Bhool Gaya;
Kya Hai Tera Kya Hai Mera Apna Paraya Bhool Gaya!
Diye Ke Aur Hawaon Ke Marasim Khul Nahi Pate;
Nahi Khulta Ki In Mein Se Ye Kis Ki Aazmaish Hai!
Mujhi Se Aayi Thi Milne Udaas Chandni Raat;
Agar Ye Janta Hota To Jagta Bhi Main!
Sada Aish Dauran Dikhata Nahi;
Gaya Waqt Phir Haath Aata Nahi!