Us Ke Dushman Hain Bahut Aadmi Achchha Hoga;
Wo Bhi Meri Hi Tarah Shahar Mein Tanha Hoga!
Ek Tarz-e-Taghaful Hai So Wo Un Ko Mubarak;
Ek Arz-e-Tamanna Hai So Hum Karte Rahenge!
*Tarz-e-Taghaful: Style Of Ignorance
Awaaz De Ke Dekh Lo Shayad Woh Mil Hi Jaye;
Varna Ye Umar Bhar Ka Safar Rayegan To Hai!
Dagh-e-Dil Shab Ko Jo Banta Hai Charagh-e-Dahleez;
Roshni Ghar Mein Mere Rehti Hai Andar Bahar!
Kya Sitam Hai Ki Ab Teri Surat;
Ghaur Karne Pe Yaad Aati Hai!
Humein Bhi Neend Aa Jayegi Hum Bhi So Hi Jayenge;
Abhi Kuch Be-Qarari Hai Sitaro Tum To So Jaao!
Likhi Thi Us Ne Mohabbat Ki Be-Qarari Aur;
Wo Jo Bhi Likh Na Saka Harf Harf Sach Nikla!
Har Kaam Ka Waqt Muqarrar Hai Har Kaam Ko Waqt Pe Hona Hai;
Kis Baat Ki Aakhir Jaldi Hai Kis Baat Ka Phir Ye Rona Hai!
Mar-Mite Jab Se Hum Us Dushman-e-Din Par Sahab;
Paanv Tikte Hi Nahi Apne Zameen Par Sahab!
Umar Ke Lambe Safar Se Tazurba Aisa Mila;
Dhoop Jab Bhi Sar Pe Aayi Lapata Saaya Mila!