Ashar Mere Yun To Zamane Ke Liye Hain;
Kuch Sher Faqat Un Ko Sunane Ke Liye Hain!
Apne Chehre Se Jo Zaahir Hai Chhupayen Kaise;
Teri Marzi Ke Mutabiq Nazar Aayen Kaise!
Is Andhere Mein Jab Koi Bhi Na Tha;
Mujh Se Ghum Ho Gaya Khuda Mujh Mein!
Umar Bhar Chal Ke Bhi Paayi Nahi Manzil Hum Ne;
Kuch Samajh Mein Nahi Aata Ye Safar Kaisa Hai!
Nagri Nagri Phira Musafir Ghar Ka Rasta Bhool Gaya;
Kya Hai Tera Kya Hai Mera Apna Paraya Bhool Gaya!
Diye Ke Aur Hawaon Ke Marasim Khul Nahi Pate;
Nahi Khulta Ki In Mein Se Ye Kis Ki Aazmaish Hai!
Mujhi Se Aayi Thi Milne Udaas Chandni Raat;
Agar Ye Janta Hota To Jagta Bhi Main!
Sada Aish Dauran Dikhata Nahi;
Gaya Waqt Phir Haath Aata Nahi!
Hum Jis Ke Ho Gaye Wo Hamara Na Ho Saka;
Yun Bhi Hua Hisaab Barabar Kabhi Kabhi!
Jidhar Jaate Hain Sab Jaana Udhar Achha Nahin Lagta;
Mujhe Pamaal Raston Ka Safar Achha Nahi Lagta!



