
Hai Aaj Andhera Har Janib Aur Noor Ki Baatein Karte Hain;
Nazdeek Ki Baaton Se Khaaif Hum Door Ki Baatein Karte Hain!
*Khaaif - Afraid, Frightened, Timid

Dekhta Hun Tu Nahi Rahm Ke Qabil Koi;
Sochta Hun To Hazaron Taras Aata Hai!

Na-Muradi Apni Qismat Gumrahi Apna Naseeb;
Karvaan Ki Khair Ho Hum Karvaan Tak Aa Gaye!

Kise Batayein Ki Zad-e-Safar Gaya Kab Ka;
Raha Hi Kya Hai Gham-e-Motabar Gaya Kab Ka!

Dhund Mein Doobi Saari Faza Thi Us Ke Baal Bhi Geele The;
Jis Ki Ankhen Jheelon Jaisi Jis Ke Honth Raseele The!

Woh Samjhte Hain Ki Har Shakhs Badal Jata Hai;
Unhein Lagta Hai Ki Zamana Unke Jaisa Hai!

Ab Ke Khud Se Bhi Ulfat Nahi Mujh Ko,
Tere Siwa Kisi Aur Ki Adat Nahi Mujh Ko;
Rata Rafta Ye Hunar Bhi Seekh Jaunga,
Abhi Rutho'n Ko Manane Ki Adat Nahi Mujhko!

Toote But Masjid Bani Mismar But-Khana Hua;
Jab To Ik Surat Bhi Thi Ab Saaf Veerana Hua!

Unhen Apne Dil Ki Khabren Mere Dil Se Mil Rahi Hain;
Main Jo Un Se Rooth Jaun To Payam Tak Na Pahunche!

Maine Puchha Ki Hai Kya Shaghl To Hans Kar Bole;
Aaj Kal Hum Tere Marne Ki Dua Karte Hain!
* Shaghl - Hobby