
Usne Hanste Hue Toda Tha Hamara Rishta;
Hum Sabhi Ko Ye Batate Hue Ro Dete Hain!

Seene Mein Jalan Aankhon Mein Toofan Sa Kyon Hai;
Is Shehar Mein Har Shakhs Pareshan Sa Kyon Hai!

Koi Kyon Kisi Ka Lunbhaye Dil, Koi Kya Kisi Se Lagaye Dil;
Wo Jo Bechte The Dawa-e-Dil, Wo Dukan Apni Badha Gaye!

Pucha Na Zindagi Mein Kisi Ne Bhi Dil Ka Haal;
Ab Shehar Bhar Mein Zikar Meri Khudkushi Ka Hai!

Humne Pyaar Nahi Ishq Nahi Ibaadat Ki Hai,
Rasmon Se Riwazon Se Bagawat Ki Hai;
Manga Tha Hum Ne Jise Apni Duaaon Mein,
Usi Ne Mujh Se Juda Hone Ki Chahat Ki Hai!

Koi Shai Ek Si Nahi Rehti;
Umar Dhalti Hai Gham Badalte Hain!

Tujhe Kaun Jaanta Tha Meri Dosti Se Pehle;
Tera Husn Kuch Nahi Tha Meri Shayari Se Pehle!

Bahane Aur Bhi Hote Jo Zindagi Ke Liye;
Hum Ek Baar Teri Aarzoo Bhi Kho Dete!

Farishton Se Bhi Achchha Main Bura Hone Se Pehle Tha;
Wo Mujh Se Intihai Khush Khafa Hone Se Pehle Tha!

Gair Ke Saath Kabhi Zikar Hamara Na Karein,
Hum Ko Badnaam Karen Ishq Ko Ruswa Na Karein;
Dil Ye Kehta Hai Muqaddar Hai Pareshan Rehna,
Akal Kehti Hai Ki Hum Zulf Ka Sauda Na Karein!