Maine Tujhe Chaha Wo Tumne Pehchana Nahi;
Jane Anjane Kahi Tu Mujhe Chahe Ab Zamana Nahi!
Suna Hai Shaunk Nahi Rakhte Tum Mohabbat Ka;
Magar Yakeen Mano, Barbaad Tum Kamaal Ka Karte Ho!
Ajeeb Hai Teri Duniya Ke Log Aye Rabb;
Jitni Mohabbat Do Utna Hi Gira Hue Samjhte Hain!
Aakhir Dua Karen Bhi Toh Kis Mudda Ke Saath;
Kaise Zameen Ki Baat Kahen Aasmaan Se Hum!
Suna Hai Usko Mohabbat Duaayein Deti Hai;
Jo Dil Pe Chot Toh Khaye Magar Gila Na Kare!
Na Mohabbat Sambhali Gayi, Na Nafratein Paali Gayi;
Afsos Hai Us Zindagi Ka, Jo Tere Peeche Khaali Gayi!
Raah-e-Khuloos Mein Paida Dushwariyan Na Kar;
Chahat Nahi To Hum Se Adakariyan Na Kar!
Sang-e-Maramar Se Taraasha Khuda Ne Tujhe;
Baaki Jo Patthar Bacha Tera Dil Bana Diya!
Khwaab Aankhon Se Gaye, Neend Raaton Se Gayi;
Wo Gaya To Aise Laga, Zindagi Haantho Se Gayi!
Aapki Yaadon Ke Diye Ab Jalaana Kya;
Juda Hue Hain To, Ehd-e-Wafa Nibhana Kya!



