Shayari



sms

Kabhi Neendein, Kabhi Aankhon Mein Paani Bhej Deta Hai Zalim;
Woh Khud Aata Nahi Apni Nishaani Bhej Deta Hai!

sms

Tujhe Haq Diya Hai Maine Dillagi Ka Ae Sanam;
Tu Mere Dilse Khel Jab Tak Tera Dil Behal Na Jaye!

sms

Aa Bichadne Ka Koi Aur Tareeqa Dhoodhen;
Pyaar Badhta Hai Meri Jaaan Khafa Rahne Se!

sms

Ab Tere Zikar Pe Hum Baat Badal Dete Hain;
Kitni Raghbat Thi Tere Naam Se Pehle-Pehle!

sms

Samraj Ko Dost Hamare Dushman Hain,
Inhi Se Aansu Aahein Aangan Aangan Hain;
Inhi Se Qatal-e-Aam Hua Aashaon Ka,
Inhi Se Veeran Umeedon Ka Gulshan Hai!

sms

Kitabon Ki Tarah Hai Woh Bhi;
Alfaaz Se Bharpur Magar Khamosh!

sms

Lakh Kehte Rahen Zulmat Ko Zulmat Na Likhna;
Ham Ne Sekha Nahi Payare Be-Ijazat Likhna!

sms

Tha Jahan Kehna Wahan Keh Na Paye Umar Bhar;
Kagzon Par Yun Sher Likhna Bezubani Hi Toh Hai!

sms

Dushmano Ko Saza Dene Ki Ek Tehzeeb Hai Meri;
Main Haath Nahi Uthata Nazron Se Gira Deta Hun!

sms

Hum Roothhe Huye Dil Ko Manaane Mein Reh Gaye,
Ghairon Ko Dil Ka Dard Sunaane Mein Reh Gaye,
Manzil Humari Humare Qareeb Se Gujar Gayi,
Hum Doosron Ko Rasta Dikhaane Mein Reh Gaye!

End of content

No more pages to load

Next page