Dushmano Ko Sazaa Dene Ki Ek Tehjeeb Hai Meri,
Main Haath Nahi Uthata Nazron Se Gira Deta Hun!
Badi Aasani Se Dil Lagaye Jaate Hain,
Par Badi Mushkil Se Vaade Nibhaye Jaate Hain;
Lekar Jati Hai Mohabbat Unn Raahon Par,
Jahan Par Diye Nahi Dil Jalaye Jaate Hain!
Maana Ki Mohabbat Kee Yeh Bhi Ek Haqiqat Hai,
Phir Bhi Jitna Tum Badle Ho Utna Bhi Nahi Badla Jaata!
Aankhon Ke Raste Aaye Dil Mein Utar Gaye;
Banda Nawaz Aap Toh Hadh Se Guzar Gaye!
Aakhir Dua Karein Bhi Toh Kis Mudaa Ke Sath;
Kaise Zameen Ki Baat Kahein Aasman Se Hum!
Wafa Ka Ehad Tha Dil Ko Sambhalne Ke Liye;
Woh Hans Pare Mujhe Mushkil Mein Dalne Ke Liye!
Yun Log Dost Tera Mujh Se Khafa Ho Jana;
Jis Tarah Phool Se Khushboo Ka Juda Ho Jana!
Zabat Bhi Sabar Bhi Imkaan Mein Sab Kuch Hai;
Pehle Kambakht Mera Dil Tu Mera Dil Ho Jaye!
Yun Nakaam Rahenge Kab Tak Ji Mein Hai Ik Kaam Karein;
Ruswa Ho Kar Mar Jayein Us Ko Bhi Badnam Karein!
Tujh Se Ab Aur Mohabbat Nahi Ki Ja Sakti;
Khud Ko Itni Bhi Aziyat Nahi Di Ja Sakti!



