Lafz Bhee Jis Ahd Mein Kho Baithe Apna Aitbaar;
Khamoshi Ko Is Mein Kitna Motabar Maine Kiya!
Lafz: Words
Ahd: Time, Period
Aitbaar: Trust
Khamoshi: Silence
Motabar: Reliable, Trustworthy
Woh Humse Apni Marzi Se Baat Karte Hain;
Aur Hum Bhi Kitne Pagal Hain Ki Unki Marzi Ka Intezaar Karte Hain!
Girte Rahe Hum Sajdon Mein Hasrat-e-Ishq Ki Khaatir;
Agar Ibadat-e-Khuda Mein Gire Hote To Zindgi Jannat Ban Jati!
Na Saath Hai Kisi Ka Na Sahara Hai Koi,
Na Hum Hain Kisi Ke Na Hamara Hai Koi!
Mumkin Ho Aapse Toh Bhula Dijiyega Mujhe;
Patthar Pe Hun Lakeer Mita Dijiyega Mujhe;
Har Roz Mujh Se Hai Taaza Shikayat Aapko;
Maine Kiya Kya Ek Baar Bata Dijiyega Mujhe!
Kitaabein Bhi Bilkul Meri Tarha Hain;
Alfaazon Se Bharpoor Magar Khamosh!
Ab Milen Hain To Gamon Ke Ziqr Se Hat Kar Milen;
Jo Bhi Hona Hoga Ek Din Faisla Ho Jayega!
Ziqr: Mention
Faisla: Descision
Jaate Hue Kehte Ho Qayamat Ko Milenge;
Kya Khoob Qayamat Ka Hai Goya Koi Din Aur!
Kis-Kis Ki Zubaan Rokne Jaun Teri Khaatir;
Kis-Kis Ki Tabaahi Mein Tera Haath Nahi!
Wo Samandar Hai To Phir Rooh Ko Shadab Kare;
Tashnagi Kyon Mujhe Deta Hain Sarabon Ki Tarah!
Shadab: Green And Fresh
Tashnagi: Thirst
Sarab: Mirage / Illusion



