Aata Hai Kaun Kaun Tere Gham Ko Baantne;
Ghalib Tu Apni Maut Ki Afwaah Udaa Ke Dekh!
Qarar Dil Ko Sada Jiske Naam Se Aaya;
Wo Aaya Bhi To Kisi Aur Kaam Se Aaya!
Dil Ki Umeedon Ka Haunsla Toh Dekho;
Intezar Usi Ka Hai Jisko Ehsaas Tak Nahi!
Apni Tamanna Se Kabhi Kuch Nahi Chaha Tha Humne;
Uski Khushi Dhundhte Rahe Toh Badnam Ho Gaye!
Kaat Kar Zuban Meri Keh Raha Tha Woh Faraz;
Ab Tumhein Ijazat Hai Haal e Dil Sunane Ki!
Kuch Iss Tarah Sauda Kiya Waqt Ne;
Tajurba De Kar Woh Meri Nadani Le Gaya!
Jinki Yaad Hai Dil Mein Nishaani Ki Tarah;
Woh Toh Bhool Gaye Humein Kahani Ki Tarah!
Har Baar Hawaon Ko Ilzaam Dena Thik Nahi Yaaron;
Kabhi Sochna Kahin Chiraag Kud Na Thak Gaya Ho Jalte Jalte!
Wo Baat Baat Pe Deta Hai Parindon Ki Misaal 'Faraz';
Saaf Saaf Nahi Kehta Mera Sheher Hi Chodd Do!
Ruth Jao Kitna Bhi Mana Lenge;
Dur Jao Kitna Bhi Bula Lenge;
Dil Aakhir Dil Hai Sagar Ki Ret Toh Nahi;
Ki Naam Likh Kar Usse Mita Denge!



