Shayari



sms

Ab Bhi Yaad Kar Rahe Ho PaagaL Ho Kya,
Usne To Tere Baad Bhi Hazaron BhuLa Diye!

sms

Saans Tham Jati Hai Par Jaan Nahi Jati,
Dard Hota Hai Par Aawaz Nahi Aati,
Ajeeb Log Hain Is Zamane Mein,
Koi Bhool Nahi Pata Aur Kisi Ko Yaad Nahi Aati!

sms

Sikha Do Mujhe Bhi Vaadon Se Mukar Jaane Ka Hunar,
Main Bhi Bahut Thak Geya Hun Inhe, Nibhate-Nibhate!

sms

Bin Mere Reh Hi Jayengi Koi Na Koi Kami Shahyad,
Tum Zindagi Ko Jitni Marzi Sanwarne Ki Koshish Kar Lo!

sms

Is Duniya Mein Ajnabi Rehna Hi Theek Hai,
Log Bahut Takleef Dete Hain Aksar Apna Bana Kar!

sms

Bhula Denge Tumhein Bhi Zara Sabar To Kijiye,
Aapke Jaisa Banne Mein Aur Badalne Mein Thoda Waqt To Lagega!

sms

Maine Kab Kaha Ki Tum Keemat Samjho Hamari,
Humein Bikna Hi Agar Hota To Yun Tanha Nahi Hote!

sms

Ye Jo Mere Halaat Hain, Ek Din Ye Sudhar Jayenge,
Magar Tab Tak Kayi Log Mere Dil Se Utar Jayenge!

sms

Na Haal Pucha, Na Khairiyat Puchi;
Aaj Bhi Jab Mile Toh Unhone Bas Haisiyat Puchi!

sms

Woh Baatein To Humse Karte The Magar Us Mein Zikar Kisi Aur Ka Rehta Tha;
Hum To Unke Har Dukh Ko Apna Maante Rahe Aur Unhein Fikar Kisi Aur Ka Rehta Tha!

End of content

No more pages to load

Next page