Jisne Kabhi Chahaton Ka Paigaam Likha Tha;
Jisne Apna Sab Kuch Mere Naam Likha Tha;
Suna Hai Aaj Use Mere Zikar Se Bhi Nafrat Hai;
Jisne Kabhi Apne Dil Par Mera Naam Likha Tha!
Tum Agar Yaad Rakhoge To Inayat Hogi,
Varna Hum Ko Kahan Tum Se Shikayat Hogi,
Ye To Bewafa Logon Ki Dunya Hai,
Tum Agar Bhool Bhi Jao To Riwayat Hogi!
Mana Ki Hum Galat The Jo Tujhse Mohabbat Kar Baithe,
Par Royega Ek Din Tu Bhi Aisi Wafa Kee Talaash Mein!
Keh Deta Hun Vaise Mera Kehna Nahi Banta,
Is Dil Ke Ilawa Kahin Aur Tera Rehna Nahi Banta!
Kisi Ka Ishq Kisi Ka Khyaal The Hum Bhi,
Gaye Dino Mein Bahut Ba-Kamaal The Hum Bhi!
Karein Kis Ka Yakeen Yahan Sab Adakaar Hi To Hain,
Gila Bhi Karein To Kis Se Yahan Sab Apne Yaar Hi To Hain!
Teri Mehfil Se Uthe To Kisi Ko Khabar Tak Na Thi,
Tera Mud-Mud Ke Dekhna Humein Badnaam Kar Geya!
Waqt Wahi Khada Raha, Sadak Aage Nikal Gayi;
Koi Zidd Pe Ada Raha, Kisi Ki Jaan Nikal Gayi!
Kuchh Ajab Haal Hai In Dino Tabiyat Ka Sahab,
Khushi, Khushi Na Lage Aur Gham Bura Na Lage!
Mere Saath Wo Rahega To Zamana Kya Kahega,
Meri Ek Yehi Tamanna, Tera Ek Yehi Bahaana!



