Shayari



Kis Kis Se Wabasta Karen Hum Apni Umeedein,
Is Daur Ka Har Shakhs Wafa Bhool Geya Hai!

sms

Kyon Keh Rahe Ho Sab Kuch Kismat Kee Baat Hai,
Meri Tabahiyon Mein Tumhara Bhi Haath Hai!

sms

Khamosh Baitho To Log Kehte Hain Udaasi Achhi Nahi,
Zara Sa Hans Len To Muskurane Kee Vajah Puch Lete Hain!

sms

Mumkin Nahi Kisi Ko Samjh Pana,
Samjhe Bina Kisi Se Dil Lagana,
Aasan Hai Kisi Ko Pyaar Karna,
Magar Bahut Mushkil Hai Zindagi Mein Kisi Ka Pyaar Pana!

sms

Woh Silsile Woh Shaunk Woh Kurbat Na Rahi,
Phir Yun Hua Ki Dard Mein Shiddat Na Rahi,
Apni Zindagi Mein Ho Gaye Mashroof Woh Itna,
Ki Humko Yaad Karne Kee Fursat Bhi Na Rahi!

sms

Dhoondo Ge Ujjre Rishton Mein Wafa Ke Khazane;
Tum Mere Baad Mohabbat Ka Bahut Ehtram Karo Ge!

sms

Dil Ab Pehle Jaisa Masoom Nahi Raha,
Pathar To Nahi, Magar Ab Mom Bhi Nahi Raha!

sms

Bahut Khaas The Kabhi Nazro Mein Kisi Ke Hum Bhi;
Magar Nazron Ke Takaze Badalne Mein Der Kaha Lagti Hai!

sms

Suna Hai Ishq Ka Shaunq Nahi Tum Ko,
Magar Barbaad Tum Kamaal Karte Ho!

sms

Waqt Rehta Nahi Kahin Tik Kar;
Aadat Is Kee Bhi Aadmii Si Hai!

End of content

No more pages to load

Next page