Jo Un Masoom Aankhon Ne Diye The; Wo Dhokhe Aaj Tak Main Kha Raha Hun!
Use Bhi Jaate Hue Tum Ne Mujh Se Cheen Liya; Tumhara Gham To Meri Aarzoo Ka Zevar Tha!
Aarzoo Teri Barqarar Rahe; Dil Ka Kya Hai Raha Raha Na Raha!
Buri Baat Unko Hamari Lage; Humein Unki Har Baat Pyaari Lage!
Kab Lauta Hai Behta Paani Bichhda Sajan Rootha Dost;
Hum Ne Us Ko Apna Jaana Jab Tak Haath Mein Daman Tha!
Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khayal Bhi;
Dil Ko Khushi Ke Saath Saath Hota Raha Malal Bhi!
Ilahi Kya Ilaqa Hai Woh Jab Leta Hai Angdayi;
Mere Seene Mein Sab Zakhmon Ke Tanke Toot Jaate Hain!
Use Bechain Kar Jaunga Main Bhi;
Khamoshi Se Guzar Jaunga Main Bhi!
Us Ke Dushman Hain Bahut Aadmi Achchha Hoga;
Wo Bhi Meri Hi Tarah Shahar Mein Tanha Hoga!
Ek Tarz-e-Taghaful Hai So Wo Un Ko Mubarak;
Ek Arz-e-Tamanna Hai So Hum Karte Rahenge!
*Tarz-e-Taghaful: Style Of Ignorance



