Bewafai Karke Niklun Ya Wafa Kar Jaunga;
Shehar Ko Har Zaike Se Aashna Kar Jaunga;
Tu Bhi Dhoondega Mujhe Shauq-e-Saza Mein Ek Din;
Main Bhi Koi Khoobsurat Si Khata Kar Jaunga!
Lo Aaj Humne Tod diya Rishta-e-Umeed;
Lo Ab Kabhi Gila Na Karenge Kisi Se Hum!
Chaale Jayenge Ek Din Hum Tujhe Tere Haal Pe Chod Kar;
Apno Kee Kadaar Kya Hoti Hai Tuje Waqt Sikha Dega!
Ab Aur Nahi Hoti Isjq Kee Ghulami;
Yaaro Keh Do Use, Ho Jaye Jiska Hona Hai!
Mere Muqaddar Mein To Tumhari Yaadein Hain Lekin;
Tum Jiske Muqaddar Mein Ho Use Zindagi Mubarak!
Kis Liye Katra Ke Jata Hai Musafir Dum To Le;
Aaj Sukha Ped Hun Kal Tera Saya Main Hi Tha!
Tu Agar Chhod Ke Jaane Kee Zidd Pe Hai To Ja;
Jaan Bhi Jism Se Jaati Hai To Kab Puch Ke Jaati Hai!
Khafa Bhi Rehte Hain Aur Wafa Bhi Karte Hain;
Is Tarha Apne Pyaar Ko Bayan Bhi Karte Hain;
Jane Kaisi Narazgi Hai Meri Unse;
Khona Bhi Chahte Hain Aur Pane Kee Dua Bhi Karte Hain!
Taraste The Jo Humse Milne Ko Kabhi;
Na Jaane Kyon Aaj Humare Saye Se Bhi Katrate Hain;
HUm bhi Wahi Hain Yeh Dil Bhi Wahi Hai;
Na Jaane Phir Kyon Aise Log Badal Jaate Hain!
Gham Mujhe Dete Ho Auron Kee Khushi Ke Vaaste;
Kyon Bure Bante Ho Tum Nahaq Kisi Ke Vaaste!



