Shayari



Agar Talaash Karun Koi Mil Hi Jayega;
Magar Tumhaari Tarah Kaun Mujhe Chahega;
Tumhen Zaruur Koi Chahaton Se Dekhega;
Magar Vo Aankhein Hamari Kahaan Se Layega!

Aatish-e-Ishq Mein Jal Jaun Tujhe Is Se Kya;
Mausam Kee Tarah Badal Jaun Tujhe Is Se Kya;
Chot Khaun Ya Zakham Lage, Ya Ehsas-e-Gham Mein Tarpun;
Main Gir Jaun Ya Sambhal Jaun Tujhe Is Se Kya!

Uski Chahat Ne Rulaya Bahut Hai;
Uski Yaadon Ne Tadpaya Bahut Hai;
Hum Usse Karte Hain Mohabbat Beintehaa;
Iss Baat Ko Usne Aazmaya Bahut Hai!

sms

Kehte Hain Woh Majbur Hain Hum;
Na Chahte Hue Bhi Door Hain Hum;
Chura Lee Hai Unhone Dhadkane Hamari;
Phir Bhi Kehte Hain Ki Bekasoor Hain Hum!

Sab Fasane Hain Duniya Daari Ke;
Kis Ne Kis Ka Sukoon Loota Hai;
Sach To Yeh Hai Ki Iss Zamane Mein;
Main Bhi Jhootha Hun Tu Bhi Jhootha Hai!

sms

Mohabbat Se Rihaa Hona Zaroori Ho Geya Hai;
Mera Tujh Se Judaa Hona Zaroori Ho Geya Hai;
Wafaa Ke Tazurbey Karte Hue To Umar Guzri;
Zara Sa Bewafa Hona Zaroori Ho Geya Hai!

sms

Galtiyon Se Juda Tu Bhi Nahi, Main Bhi Nahi;
Dono Insaan Hain, Khuda Tu Bhi Nahi, Main Bhi Nahi;
Tu Mujhe Aur Main Tujhe Ilzaam Deta Hun Magar;
Apne Andar Jhankta Tu Bhi Nahi, Main Bhi Nahi!

Ai Maut, Main Tujhe Gale Lagana Chahta Hun;
Kitni Wafa Hai Tujh Mein Yeh Aazmana Chahta Hun;
Rulaya Hai Bahut Duniya Mein Logo Ne Mujhe;
Mile Jo Tera Saath To Main Logo Ko Rulana Chahta Hun!

sms

Is Se Pehle Ki Bewafa Ho Jayein;
Kyon Na Ai Dost Hum Judaa Ho Jayein;
Tu Bhi Heere Se Ban Geya Pathar;
Hum Bhi Kal Jaane Kya Se Kya Ho Jayein!

Aankhein Bhi Haye Naza Mein Apni Badal Gayi;
Sach Hai Ki Bekasi Mein Koi Aashna Nahin!

End of content

No more pages to load

Next page