Yu Na Barbaad Kar Mujhe, Baaz Aaja Mera Dil Dukhane Se;
Main Toh Insan Hu, Patthar Bhi Tut Jata Hein Itna Azmane Se!
Na Umeedi ka Main Qaayal To Nahin Hoon Magar;
Maine Barsaat Mein Jaltey Huye Ghar Dekhe Hain!
Tik Bhi Na Mud Key Meri Taraf Tu Ney Ki Nigaah;
Ik Umar Teray Pechay Main Zalim Laga Phira!
Humi Ne Tark-e-Taluq Main Pehel Ki Ke Faraz;
Woh Chahtaa Tha Magar Hauslaa Na Tha Us Ka!
Daikh Kaisi Qayamat Si Barpa Hui Hai Aashiyanon Pay Iqbal;
Jo Lahoo Se Tameer Huye Thay, Paani Se Bah Gaye!
Na Jee Bhar Ke Dekha Na Kuch Baat Ki;
Barri Arzoo Thi Hum Ko Mulaaqat Ki!
Ghum E Arzo Teri Rah Me, Shab E Arzo Teri Chah Me;
Jo Ujar Gaya Wo Basa Nahi, Jo Bichar Gaya Wo Mila Nahi!
Khulta Kisi Pay Kya Mery Dil Ka Muamla;
Shairon K Intekhab Nay Ruswa Kia Mujhy!
Wo Kitna Meharban Tha K Hazaron Gham De Gaya;
Hum Kitne Khud Gharz Nikle Kuch Na De Sake Mohabbat K Siwa!
Heraan Hoon Kay Muddat-e-Qaleel Main Mohsin;
Wo Shakhas Meri Souch Say Zayada Badal Gaya!
Translation:
Qaleel = Very less



