Tu Milke Bhi Na Milaa;
Tujhe Pa Ke Bhi Na Paya;
Mein Adhuri Reh Gai;
Jab Tera Saaya Mujhe Na Nazar Aya!
Kahan Talaash Karoge Tum, Mujh Jaisa Shakhs;
Jo Tumhare Sitam Bhi Sahe Aur Tum Se Mohabbat Bhi Kare!
Itna Na Tarpao Ke Koi Gunaah Kar Loon Main;
Phir Na Kehna Ke Kyun Barbaad Kiya Khud Ko, Meri Muhabbat Ke Liye!
Bin Mangay Hi Mil Jati Hain Tabeerain Kisi Ko Faraz;
Koi Khali Hath Reh Jata Hai, Hazaaron Duaoon Ke Baad!
Maine Hi Seekhaya Tha Usse Teer Chalana;
Ab Mere Siwa, Uss Ka Koi Nishaana Bhi Nahi!
Uski ankho me nazar ata tha sara jahan mujhko;
Magar uski ankhon me khud ko kabhi dekha hi nahi.
Hum bhi bikne gaye the bazaar-e-ishq mein,
Kya pata tha wafa karne walon ko log khareeda nahi karte.
Chaand To Nikla Hai Magar Yeh Raat Na Hai Pehli Si;
Yeh Mulaaqaat, Mulaaqaat Na Hai Pehli Si;
Ranjh Kuchh Kum To Hua Aaj Teray Milne Se;
Yeh Alag Baat Ke Yeh Baat Na Hai Pehli Si!
Mit Gaye Hain Sab Zakham;
Bas Nishaan Baaki Reh Gaya;
Saza Puri Ho Gayi;
Karna Gunaah Baaki Reh Gaya!
Woh Ruthte Rahe Hum Manate Rahe,
Unki Raahon Me Palkein Bichate Rahe,
Unhone Kabhi Palat Ke Bhi Na Dekha,
Hum Ankh Jhapkane Se Bhi Katrate Rahe!



