Har Tarah Ke Jazbat Ka Elan Hain Aankhein;
Shabnam Kabhi Shola Kabhi Toofan Hain Aankhein;
Aankhon Se Badi Koi Tarazu Nahi Hoti;
Tulta Hai Bashar Jis Mein Woh Meezan Hain Aankhein!
Kal Chaudhvi Ki Raat Thi Shab Bhar Raha Charcha Tera;
Kuch Ne Kaha Ye Chaand Hai, Kuch Ne Kaha Chehra Tera!
Mujh Mein Hunar Kuch Khaas Nahi;
Saadgi Ke Siwa Kuch Mere Paas Nahi!
Jaane Kyon Doob Jata Hun Har Bar Inhein Dekh Kar;
Ek Dariya Hain Ya Poora Samandar Hain Teri Aankhein!
Kitna Haseen Chand Sa Chehra Hai, Uspe Shabab Ka Rang Gehra Hai;
Khudaa Ko Yakeen Na Tha Wafa Pe, Tabhi Chand Pe Taaron Ka Pehra Hai!
Unke Husn Ka Aalam Na Puchiye;
Bas Tasveer Ho Gaya Hun Tasveer Dekh Kar!
Main Tumhari Saadgi Ki Kya Misaal Dun;
Iss Saare Jahaan Mein Be-Misaal Ho Tum!
Hum Par Yun Baar Baar Ishq Ka Ilzaam Na Lagaya Kar;
Kabhi Khud Se Bhi Pucha Hai Itni Khoobasurat Kyon Ho!
Is Sadgi Pe Kaun Na Mar Jaye Ai Khuda;
Ladte Hain Aur Haath Mein Talvar Bhi Nahin!
Tujh Ko Dekha Toh Phir Us Ko Dekha Na Gaya;
Chand Kehta Hi Raha Main Chand Hun Main Chand Hun!