Ek Toh Husn Bala Us Pe Banawat Aafat;
Ghar Bigdenge Hazaron Ke Sanwarne Wale!
Kis Kadar Masoom Sa Chehra Tha Uss Ka Ghalib;
Dheere Se Jaan Keh Kar Bejaan Kar Gaya!
Tere Husn Pe Tareefo Bhari Kitaab Likh Deta,
Kash Teri Wafa Tere Husn Ke Barabar Hoti!
Tere Husan Ko Pardey Ki Zarurat Hi Kya Hai;
Kaun Hosh Mein Rehta Hai Tujhe Dekhne Ke Baad!
Khulte Hain Mujh Pe Raaz Kayi Iss Jahan Ke,
Uski Haseen Aankhon Mein Jab Jhankta Hun Main!
Yeh Udi Udi Si Rangat Ye Khilay Khilay Se Ghaisu;
Teri Subah Keh Rahi Hai Teri Raat Ka Fasana!
Dil Hi Toh Hai Na Aaye Kyon, Dam Hi Toh Hai Na Jaye Kyon;
Hum Ko Khudaa Jo Sabar De, Tujh Se Haseen Bnaye Kyon!
Faqat Is Sah Mein Pahunchi Hain Hazaron Baatein;
Main Tera Husn Tere Husn-e Bayan Tak Dekhon!
Jaane Kyon Doob Jata Hun Har Bar Inhein Dekh Kar;
Ek Dariya Hai Ya Poora Samandar Hai Teri Aankhein!
Dil Hi Toh Hai Na Aaye Kyon, Dam Hi Toh Hai Na Jaye Kyon;
Hum Ko Khudaa Jo Sabar De Tujh Se Haseen Banaye Kyon!