
Jab Achanak Kabhi Unka Deedar Hota Hai;
Dil Mein Dhimi Si Dhandkan Ruk Jati Hai;
Itni Khoobsurat Hain Aankhein Unki;
Ki Nazar Milate Hi Nazar Jhuk Jati Hai!
Ho Na Jaye Gustakhi Husn Kee Shaan Mein;
Chale Jao Tumhein Dekh Ke Bahut Pyaar Aata Hai!
Taras Gaye Aap Ke Deedar Ko;
Phir Bhi Dil Aap Hi Ko Yaad Karta Hai;
Humse Khush Naseeb To Hai Aapke Ghar Ka Aaina;
Jo Har Roz Aapke Husn Ka Deedar Karta Hai!

Haathon Mein Ulfat Ka Naam Hota Hai;
Aankhon Mein Chalkta Jaam Hota Hai;
Khanjar Kee Jarurat Hai Yahan Kise;
Yahan Nazron Se Qatal-e-Aam Hota Hai!
Tujhe Paane Kee Iss Liye Zidd Nahi Karte;
Kyonki Tujhe Khone Ko Dil Nahi Karta;
Tu Milta Hai To Isliye Nazrein Nahi Uthate;
Ki Phir Nazrein Hatane Ko Dil Nahi Karta!

Apne Haseen Hontho Ko Kisi Parde Mein Chipa Liya Karo;
Hum Zara Gustakh Log Hain, Nazron Se Chum Liya Karte Hain!
Hasrat Hai Sirf Humein Tumhe Paane Kee;
Aur Koi Khawahish Ab Nahi Is Deewane Kee;
Shikwa Humein Tumse Nahi Khuda Se Hai;
Kya Zarurat Thi Tumhe Itna Khoobsurat Banane Kee!
Qatil Teri Adaaon Ne Loota Hai;
Mujhe Teri Jafaaon Ne Loota Hai;
Shaunk Nahi Tha Mujhe Mar-Mitne Ka;
Mujhe To In Nashili Nigahon Ne Loota Hai!

Chaman Mein Shab Ko Jo Wo Shokh Be-Naqab Aaya;
Yakeen Ho Geya Shabnam Ko Aaftab Aaya;
Un Ankhdiyon Mein Agar Nasha-e-Sharab Aaya;
Salaam Jhuk Ke Karunga Jo Phir Hijab Aaya!

Zakhm The Gehre Aur Na Aaya Mujhe Unhe Seena;
Uske Zakhmo Ke Bin Zindagi Mein Kya Jeena;
Agar Lafzo Mein Teri Tareef Karunga To Tere Husn Ke Be-Adbi Hogi;
Bas Tu Yeh Jaanle Ki Tere Bin To Chand Kee Chandni Bhi Adhuri Hogi!