
Banane Wale Ne Bhi Tujhe Kisi Karan Se Banaya Hoga;
Choda Hoga Jab Zameen Par Tujhe Uske Seene Mein Bhi Dard To Aaya Hoga!

Yeh Husn Tera Yeh Ishq Mera, Rangeen To Hai Badnaam Sahi;
Mujh Par To Kai Ilzaam Lage, Tujh Par Bhi Koi Ilzaam Sahi!

Gulaab Aankhein Sharab Aankhein,
Yahi To Hai Lajawab Aankhein;
Inhi Mein Ulfat Inhi Mein Nafrat,
Sawal Aankhein Jawaab Aankhein!

Rukh-e-Roshan Ke Aage Shama Rakh Kar Woh Yeh Kehte Hain,
Udhar Jaata Hai Dekhe Ya Idhaar Aata Hai Parwana!

Burqa-Posh Pathani Jis Ki Laaj Mein Sau Sau Roop;
Khul Ke Na Dekhi Phir Bhi Dekhi Hum Ne Chhanv Mein Dhoop!

Jab Aapka Naam Zubaan Par Aata Hai Pata Nahi Dil Kyon Muskurata Hai;
Haan Tasalli Hoti Hai Mann Ko Koi To Hai Apna Jo Hanste Hue Har Waqt Yaad Aata Hai!

Meri Aankhein Aur Deedar Aap Ka;
Ya Qayamat Aa Gayi Ya Khwab Hai!

Bhanp Hi Lenge Ishara Sar-e-Mehfil Jo Kiya;
Taadne Wale Qayamat Ki Nazar Rakhte Hain!

Galat Suna Tha Ki Ishq Aankhon Se Hota Hai;
Dil Toh Woh Bhi Le Jaate Hain Jo Palkein Tak Nahi Uthate!

Dil Uski Taar-e-Zulf Mein Uljh Geya,
Suljhega Kis Tarah Yeh Bistaar Hai Gazab!