Shayari



sms

Un Ki Nazar Ke Saath Hi Saara Zamana Phir Gaya,
Gardish-e-Chashm-e-Naaz Hai Gardish-e-Rozgar Kya;
Bad-e-Khizan Ki Mauj Thi Ghuncha-e-Dil Ke Haq Mein Sam,
Mausam-e-Gul Ki Bhi Hawa Hogi Na Sazgar Kya!

* Gardish-e-Chashm-e-Naaz: Movement eyes of coquetry
* Sazgar: Agreeable, favourable,

sms

Aap Ne Tasveer Bheji Maine Dekhi Ghaur Se;
Har Ada Achhi Khamoshi Ki Ada Achhi Nahi!

sms

Tera Milna Khushi Ki Baat Sahi,
Tujh Se Mil Kar Udaas Rehta Hun;
Hazaar Barq Gire Laakh Andhiyan Uthen,
Wo Phool Khil Ke Rahenge Jo Khilne Wale Hain!

sms

Raat Bhi Neend Bhi Kahani Bhi;
Haaye Kya Cheez Hai Jawani Bhi!

sms

Dua Karo Ki Main Us Ke Liye Dua Ho Jaaun;
Wo Ek Shakhs Jo Dil Ko Dua Sa Lagta Hai!

sms

Ujad Jaye Jo Iss Duniya Ki Zidd Mein,
Woh Dil Abaad Rakhna Shayari Hai;
Mohabbat Hai Kisi Ka Yaad Aana,
Kisi Ko Yaad Rakhna Shayari Hai!

sms

Muddat Ke Baad Aaj Use Dekh Kar 'Munir';
Ek Baar Dil To Dhadka Magar Phir Sambhal Geya!

sms

Ishq Hai Tarz-o-Taur Ishq Ke Taeen,
Kahin Banda Kahin Khuda Hai Ishq;
Ishq Maashuq Ishq Aashiq Hai,
Yaani Apna Hi Mubtala Hai Ishq!

sms

Kaghaz Mein Dab Ke Mar Gaye Keede Kitab Ke;
Deewana Be-Padhe-Likhe Mashoor Ho Gaya!

sms

Hazar Baar Jo Manga Karo To Kya Hasil;
Dua Wahi Hai Jo Dil Se Kabhi Nikalti Hai!