Siyah Ped Hain Ab Aap Apni Parchayin,
Zameen Se Ta-mah-o-Anjum Sukut Ke Minar;
Jidhar Nigah Karen Ik Athah Gum-Shudgi,
Ek Ek Kar Ke Fasurda Charaghon Ki Palken!
Baat Bas Se Nikal Chali Hai,
Dil Ki Halat Sambhal Chali Hai;
Ab Junoon Hadh Se Badh Chala Hai,
Ab Tabiyat Bahal Chali Hai!
Samjha Liya Fareb Se Mujh Ko To Aap Ne;
Dil Se To Puch Lijiye Kyon Be-Qarar Hai!
Gulon Mein Rang Bhare Bad-e-Nau-Bahar Chale,
Chale Bhi Aao Ki Gulshan Ka Karobar Chale;
Qafas Udaas Hai Yaaro Saba Se Kuch To Kaho,
Kahin To Bahr-e-Khuda Aaj Zikr-e-Yaar Chale!
Dil Pagal Hai Roz Nayi Nadani Karta Hai;
Aag Mein Aag Milata Hai Phir Paani Karta Hai!
Dekhna Achcha Nahi Zaanu Pe Rakh Kar Aaina;
Donon Nazuk Hain Na Rakhiyo Aaine Par Aaina!
*Zaanu: Part between the waist and knee while sitting on knees
Munh Jo Dekhe Aaina Gar Kanch Ka,
Muskura Uthe Muqaddar Kanch Ka;
Bhool Jaunga Main Apne Aap Ko,
Aks Pehchanega Jo Har Kanch Ka!
Ishq Par Zor Nahi Hai Ye Wo Aatish 'Ghalib';
Ki Lagaye Na Lage Aur Bujhaye Na Bane!
Is Kufr-e-Ishq Se Mujhe Kyon Rokte Ho Tum,
Imaan Walo Mera Hi Imaan Jayega;
Aaj Us Se Maine Shikwa Kiya Tha Shararatan,
Kis Ko Khabar Thi Itna Bura Maan Jayega!
Jo Dil Rakhte Hain Seene Mein Woh Kaafir Ho Nahi Sakte;
Mohabbat Deen Hoti Hai Wafa Imaan Hoti Hai!