Ai Rooh Tu Zara Dheere-Dheere Nikal;
Kahin Us Bekhabar Ko Khabar Na Ho Jaye!
Dekhi Jo Meri Nabz To Ek Lamha Soch Kar;
Kagaz Liya Aur Ishq Ka Beemar Likh Diya!
Deewane Hain Tere Is Baat Se Inkaar Nahin,
Kaise Kahen Ki Humein Tumse Pyaar Nahin;
Kuch Toh Kasoor Hai Teri In Aankhon Ka,
Hum Akele Toh Gunhagaar Nahi!
Uthhti Nahi Hai Aankh Kisi Aur Ki Taraf, Paband Kar Gayi Hai Kisi Ki Nazar Mujhe;
Imaan Ki Toh Ye Hai Ke Imaan Ab Kahan, Kafir Banaa Gayi Teri Kafir Nazar Mujhe!
Ishq Ke Phool Khilte Hain Teri Khoobsurat Aankhon Mein;
Jahan Dekhe Tu Ek Nazar Wahan Khushboo Bikhar Jaaye!
Ishq Hara Hai Toh Dil Thaam Ke Kyon Baithe Ho;
Tum Toh Har Baat Par Kehte The Koi Baat Nahi!
Bahut Ajeeb Hain Bandishe Mohabbat Ki;
Na Usne Qaid Mein Rakha Na Hum Faraar Hue!
Tere Khamosh Hothon Par Mohabbat Gun-Gunati Hai;
Tu Meri Hai Main Tera Hun, Bas Ye Hi Awaaz Aati Hai!
Mere Nazdeek Aa Ke Dekh, Mere Ehsaas Ki Shiddat;
Mera Dil Kitna Dhadakta Hai Tere Naam Ke Saath!
Qareeb Aa Zara Ke Jeena Mushkil Hai Tere Bin,
Dil Ko Tujh Se Nahi Teri Har Ada Se Mohabbat Hai!



