
Shayar To Hum Hain Shayari Bana Denge,
Aap Ko Shayari Mein Qaid Kar Lenge,
Kabhi Sunao Humein Apni Awaaz,
Aapki Awaaz Ko Hum Ghazal Bana Denge!

Kitna Nazuk Mizaz Hai Uska Kuch Na Puchiye 'Faraz';
Neend Nahi Aati Unhein Dhadkan Ke Shor Se!

Hoti Nahi Qubool Dua Tark-e-Ishq Ki;
Dil Chahta Na Ho Toh Dua Mein Asar Kahan!

Gwahi Kaise Toot'ti Mamla Khuda Ka Tha;
Mera Aur Us Ka Rabta Toh Hath Aur Dua Ka Tha!

Aadat Hi Bana Li Hai Tum Ne Toh Munir Apni;
Jis Shehar Mein Rehna Uktaye Hue Rehna!

Chal Rahe Hain Zamane Mein Rishwaton Ke Silsale;
Tum Bhi Kuch Le De Kar Mujh Se Mohabbat Kar Lo!

Aasman Aur Zameen Ka Tafawat Har Chand;
Ae Sanam Door Hi Se Chand Ka Sa Mukhra Dikhla!

Tujhe Khwabon Mein Pakar Dil Ka Qarar Kho Jata Hai,
Main Jitna Rokun Khud Ko Tujhse Pyar Ho Hi Jata Hai!

Uske Chehre Par Is Kadar Noor Tha,
Ki Uski Yaad Me Rona Bhi Manjur Tha,
Bewafa Bhi Nahin Kah Sakte Usko Faraj,
Pyar To Hamne Kiya Hai Woh To Bekasur Tha!

Usne Mujhse Kaha, Main Tumhein Bhool Jaungi;
Mujhe Achha Laga Yeh Jaankar Ki Main Usko Kabhi To Yaad Tha!