Kitne Tohfe Deti Hai Ye Mohabbat Bhi
Ruswai Alag Judai Alag Tanhai Alag!
Kami Kami Si Thi Kuch Rang-o-Boye Gulshan Mein;
Lab Bahar Se Nikli Hui Dua Tum Ho!
Ab Tak Meri Yaadon Se Mitaye Nahi Mitta;
Bheegi Hoyi Ik Shaam Ka Manzar Teri Aankhein!
Khud-Darion Ke Khoon Ko Arzan Na Kar Sake;
Hum Apne Johron Ko Namyan Na Kar Sake;
Kis Darza Dil Shakan They Mohabbat Ke Haadse;
Hum Zindagi Mein Phir Koi Arman Na Kar Sake!
Marne Ka Tere Gham Mein Iraada Bhi Nahi Hai;
Hai Ishq Magar Itna Zyaada Bhi Nahi Hai!
Humne Pyaar Nahi Ishq Nahi Ibaadat Ki Hai,
Rasmon Se Riwazon Se Bagawat Ki Hai;
Manga Tha Hum Ne Jise Apni Duaaon Mein,
Usi Ne Mujhse Judaa Hone Ki Chahat Ki Hai!
Meri Aankhon Mein Jhankne Se Pehle,
Zara Soch Lijiye Aye Huzoor;
Jo Humne Palkein Jhuka Li Toh Qayamat Hogi,
Aur Humne Nazrein Mila Li Toh Mohabbat Hogi!
Tu Meri Barbadiyon Ke Jashn Mein Shamil Raha;
Yeh Tasawwur Hi Bahut Aaraam Deta Hai Mujhe!
Nahi Basti Kisi Aur Ki Surat Ab In Aankhon Mein,
Kaash Ki Humne Tujhe Itne Gaur Se Na Dekha Hota!
Ishq Sunte The Jise Hum Woh Yahi Hai Shayad;
Khud-Ba-Khud Dil Mein Hai Ik Shakhs Samaya Hoya!



