
Bharosa, Dua, Wafa, Khawab, Maan, Mohabbat;
Kitne Naamon Mein Simte Ho Sirf Ek Tum!

Jinki Shayari Mein Hoti Hain Siskiyan Aksar,
Woh Shayar Nahi Kisi Bewafa Ke Deewane Hote Hain!

Do Hi Gawah The Meri Mohabbat Ke, Waqt Aur Woh;
Ek Guzar Gaya, Doosra Mukar Gaya!

Parda-e-Lutf Mein Ye Zulm-o-Sitam Kya Kahiye;
Haye Zalim Tera Andaz-e-Karam Kya Kahiye!

Anokhi Wazah Hai Saare Zamane Se Nirale Hain,
Yeh Aashiq Kaun Si Basti Ke Ai Rabb Rehne Wale Hain!

Tauba To Kar Li Hai Ishq Se Lekin,
Thoda Sa Zeher La Do Aaj Bahut Udaas Hun Main!

Dhoondo Iss Berang Duniya Mein Khushiyon Ke Rang;
Bas Hothon Ki Muskurahat Se Hi Gulaal Ki Shokhiyan Hain!

Tera Na Milna Mera Naseeb Hi Sahi Lekin,
Ai Sanam Meri Qismat Mein Likha Hai Tujhe Toot Ke Chahna!

Yeh Bahein Humein Jab Apni Panahon Mein Bulati Hain,
Humein Apni Kasam Hum Har Sahara Bhool Jaate Hain!

Nazar Ke Sagar Mein Utar Gaya Hai Koi,
Mere Dil Mein Ghar Kar Gaya Hai Koi!