
Na Udhaao Yun Thokro Mein Meri Khak-e-Qabr Zalim;
Yehi Ek Reh Gayi Hai Mere Pyaar Ki Nishaani!

Aa Jaati Hai Neend Aankhon Ki Thakawat Se;
Khayalon Se Abb Toh Yeh Thak Chuki Hain Yun Hi.
Kab Tak Intezaar Mein Hum Hairan Honge;
Yeh Mohabbat Ke Qisse Kab Anjaam Honge!

Tu Badnaam Na Ho Isliye Jee Raha Hun Main,
Varna Marne Ka Irada Toh Roz Hota Hai!

Laakhon Mein Intikhaab Ke Qaabil Bana Diya;
Jis Dil Ko Tumne Dekh Liya Dil Bana Diya!

Mila Hu Khak Mein Unchi Magar Aukat Rakhi Hai;
Tumhari Baat Thi Aakhir Tumhari Baat Rakhi Hai;
Bhale Hi Pet Ki Khatir Kahin Din Bech Aaya Hu;
Tumhari Yaad Ki Khatir Bhi Poori Raat Rakhi Hai!

Tum Haseen Ho, Gulab Jaisi Ho;
Bahut Nazuk Ho Khawab Jaisi Ho;
Hothon Se Lagakar Pee Jaun Tumhe;
Sir Se Paanv Tak Sharab Jaisi Ho!

Meri Har Nazar Mein Basi Hai Tu;
Meri Har Qalam Pe Likhi Hain Tu;
Tujhe Soch Loon To Ghazal Meri;
Na Likh Sakun To Wo Khayal Hai Tu!

Tere Shehar Mein Aake Benaam Se Ho Gaye;
Teri Chahat Mein Apni Muskaan Hi Kho Gaye;
Jo Doobe Teri Mohabbat Mein To Aise Doobe;
Ki Jaise Teri Aashiqui Ke Ghulam Hi Ho Gaye!

Arz-O-Sama Kahan Tiri Vusat Ko Paa Sake;
Mera Hi Dil Hai Wo Ki Jahan Tu Sama Sake!
~ Meer Dard

Hum To Sirf Unko Dekhte Hain;
Aur Who Dekh Kar Bhi Andekha Kar Dete Hain!