Tu Badnaam Na Ho Isliye Jee Raha Hun Main,
Varna Marne Ka Irada Toh Roz Hota Hai!
Laakhon Mein Intikhaab Ke Qaabil Bana Diya;
Jis Dil Ko Tumne Dekh Liya Dil Bana Diya!
Mila Hu Khak Mein Unchi Magar Aukat Rakhi Hai;
Tumhari Baat Thi Aakhir Tumhari Baat Rakhi Hai;
Bhale Hi Pet Ki Khatir Kahin Din Bech Aaya Hu;
Tumhari Yaad Ki Khatir Bhi Poori Raat Rakhi Hai!
Tum Haseen Ho, Gulab Jaisi Ho;
Bahut Nazuk Ho Khawab Jaisi Ho;
Hothon Se Lagakar Pee Jaun Tumhe;
Sir Se Paanv Tak Sharab Jaisi Ho!
Meri Har Nazar Mein Basi Hai Tu;
Meri Har Qalam Pe Likhi Hain Tu;
Tujhe Soch Loon To Ghazal Meri;
Na Likh Sakun To Wo Khayal Hai Tu!
Tere Shehar Mein Aake Benaam Se Ho Gaye;
Teri Chahat Mein Apni Muskaan Hi Kho Gaye;
Jo Doobe Teri Mohabbat Mein To Aise Doobe;
Ki Jaise Teri Aashiqui Ke Ghulam Hi Ho Gaye!
Arz-O-Sama Kahan Tiri Vusat Ko Paa Sake;
Mera Hi Dil Hai Wo Ki Jahan Tu Sama Sake!
~ Meer Dard
Hum To Sirf Unko Dekhte Hain;
Aur Who Dekh Kar Bhi Andekha Kar Dete Hain!
Jafa Jo Ishq Mein Hoti Hai Wah Zafa Hi Nahin; Sitam Na Ho To Muhabbat Mein Kuchh Maza Hi Nahin!
Wo Jo Samjhe The Tamasha Hoga;
Maine Chup Reh Ke Baazi Palat Di!



