Darpok Hain Woh Log, Jo Pyaar Nahi Karte;
Yeh Sach Hai Barbad Hone Ke Liye Bhi Jigar Chahiye!
Vaade Pe Woh Mere Aitbaar Nahi Karte;
Hum Zikar Mohabbat Ka Sare Bazaar Nahi Karte;
Darta Hai Dil Unki Ruswai Se;
Aur Woh Sochte Hain Ki Hum Unse Pyaar Nahi Karte!

Khusro Dariya Prem Ka, Ulti Wa Ki Dhaar;
Jo Utra So Doob Geya, Jo Dooba So Paar!

Pyaar Aur Mohabbat Uss Daur Ki Baat Hai;
Jab Makaan Kachhe Aur Log Sachhe Hua Karte The!

Waqt Aur Khushi Tere Ghulam Honge;
Yeh Pal Yeh Pehlu Tere Hi Naam Honge;
Dekhna Kabhi Jhuk Kar Neeche Bhi Ae Humsafar;
Tere Har Kadam Ke Neeche, Mere Haathon Ke Nishan Honge!

Main Jo Din Ko Bhi Kahun Raat Woh Iqraar Kare;
Mujhko Hasrat Hai Koi Yun Bhi Mujhe Pyaar Kare!

Parchayi Aapki Hamare Dil Mein Hai;
Yaadein Aapki Hamari Aankhon Mein Hain;
Kaise Bhulaye Hum Aapko;
Pyaar Aapka Hamari Saanson Mein Hai!
Dil Ki Nahi Jaan Ki Zarurat Ho Tum;
Zameen Ki Nahi Aasman Ki Inayat Ho Tum;
Aur Ab Hum Kya Tareef Karen Aapki;
Husn Ki Nahi Qayanat Ki Murat Ho Tum!
Tere Ishq Mein Kho Toh Diya Hai Chain Aur Sukoon;
Ab Kbhi Na Kehna Ki Main Kuch Nahi Karta!

Hichkiyan Dilakar Hamari Ulfat Kyon Badha Rahe Ho;
Bas Itna Bata Do Yaad Kar Rahe Ho Ya Yaad Aa Rahe Ho!